Page Views

Friday 30 November 2012

My Computer Windows

friends aaj mein aap ko yeh bataon ga ke my computer ko jab open karte hain to samne jo option aate hain unko kiya kehte hain.

es picture ko aap gor se dekhen.

First bar jo white wali hoti hai unko hum address bar kehte hain matlab yahan se bhi hum koi bhi drive open kar sakte hain.

Shared documents wale ye windows ke hai. aur unko neeche aap ko four drives or partitions nazar aa rahi hai C: ye windows ki partition hoti hai mens jab hum koi bhi window karte hain es mein karte hain es C: drive mein apne personal ko bhi files nahen rakhan hai kiyu ke agar window corrupt ho gaya to aap ki data jo es drive mein save hogi wo bhi khatm ho jaye gi. aur jo softwares hum install karte hai wo bhi C: drive pe install hote hain means MS Office, Antivirus, etc..........

dosri drives D: and E: and F: en mein aap koi bhi data rakh sakte hain files, songs, videos, images, audio, etc jo aap ki data hai en pe rakhi hogi hamesha rahe gi kabhi bhi delete nahein hogi jab tak aap unko delete na karden.

last mein aap ko floppy disk and CD Drive ka option nazar aa raha hai, Floppy disk aisi hai jaise USB se hum aik computer se dosre computer mein data rakh sakte aur save kar sakte hain Floppy disk main bhi esi tarah hum data transfer and save kar sakte hain aaj kal enka use nhe hota USB ziyada tar use hoti hai.

aur CD drive ka to aap ko pata hoga hum jo bhi CD Rom mein disk insert karte hain Games, Softwares, Songs etc..........wo yahan se hum open kar sakte hain.


0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Bluehost Coupons