how to install urdu language in your pc
friends aaj main aap ko aik best method batata hoon jis se aap kisi bhi program Facebook,
Twitter, MS Office etc.... mein urdu, sindhi, pashto likh sakte hain.
sab se pehle aap apne pass Window XP 2006 ki cd apne pass rakho es ki zarorat paregi.
ap start menu mein jao wahan control panel mein jao phir wahan Date, Time, Language and
Reginal Options ko click karo. ab Language and Options ko click karo.
ab languages ko click karo beech mein option hai yeh.
wahan pehle option ko tick karo jis mein Install files for complex script and right to left
languages including thai. es ko tick karna hain.
now click on apply. Apply karne k baad PC aap k files copy karega phir aap ko CD mange ga ab
aap CD-ROM mein window ki cd dalen, aur OK ko click karen.
os k baad auto files copy karega, files copy hone k baad PC restart ka kahe ga lekin aap ko
NO karna hai matlab PC ko restart nahein karna hain.Window ki CD nikal den ab.
ab aap MB Sindhi ya urdu ka setup install karen os k baad unke font bhi jo setup ke sath aik
alag folder hoga.
ab aap taskbar mein system tray k qareeb aik EN ka nishan dekhenge matlab aap k Urdu/ MB
Sindhi Software install ho gaya hai.
ab es mein languages add karni hai jis se aap likhna chahte hain. phir se aap start menu
mein jaen wahan control panel mein phir wahan Date, Time, Language and Reginal Options ko
click karo. ab Language and Options ko click karo.phir languages ko click karo and details
ko, ab wahan add ko click karo.
wahan input languages mein urdu ko click karo.
now ok apply ok. close.
jab bhi aap ko koi language likhni hai to taskbar main language bar ko click karoge to bar
aa jaye gi urdu likhna hai to urdu ko click karo agar sindhi likhna hai to Farsi ko click
karo aur type karo.
0 comments:
Post a Comment