friends aaj mera ye lecture hai ke taskbar ko kaise move kiya jaye.
sab se pehle taskbar pe mouse se arrow rakh ke taskbar pe right click karen
properties k opar aap ko LOCK THE TASKBAR nazar aaye ga jo tick hoga.
bas en ko click kar ke untick karen. ab aap taskbar ko move kar sakte hain,
agar aap ko right side karna hai to mouse ke right button ko pakar kar desktop
ki right side ko mouse ko drag karna hai. to taskbar right side pe aa jayegi.
up side, left side, down side bhi es tarah se kar sakte hain
agar aap chahte hain k ab taskbar move na ho to phir se taskbar pe
mouse se arrow rakh ke taskbar pe right click karen
properties k opar aap ko LOCK THE TASKBAR nazar aaye ga unko phir se click karen,
to taskbar phir se lock ho jaye gi aur move nhe hogi.
0 comments:
Post a Comment