Page Views

Tuesday 4 December 2012

Convert urdu to adobe photoshop

friends aksar aap ne cards dekhe honge jis mein design hota hai aur urdu text mein hota hai wo pehle urdu program inpage mein likhte hain phir os ko adobe photoshop mein convert kar ke wahan se edit kar ke cards ko graphics bana ke os ko aur bhi beautiful karte hain.

aaj mein es lecture ke sath hazir hoon ke inpage ka text adobe photoshop pe kaise layen, sab se pehle aap ke pass inpage software install hona chahiye aur adobe photoshop bhi, inpage open kar ke os pe koi bhi word likhe follow this picture.


yeh jo opar maine urdu mein text likha hai ab enko adobe photoshop mein convert karna

hai, to sab se pehle aap file ko save karen ab aap FILE mein jao aur phir EXPORT PAGE ko click karo to aap ke pass yeh picture show ho jaye gi see follow picture.


ab aap BROWSE ko click karo, aur ab app ko save as type mein ja kar ENCAPSULATED POSTSCRIPT FILES ko select karna hai.

aap ab os ko koi bhi file name de kar os ko save kar do, ab hum ne jo text inpage mein likha hai unko adobe photoshop mein convert karne ka liye aap Adobe photoshop open karo aur new ko click karo, ab aap open ko click karo, ab aap ne jo inpage mein file save kiya tha wo file jis nmae se save kiya tha wo show ho jaye ga,

os file ko aap open karen ab aap ke samne adobe photoshop ki 2 windows nazar aa jeyengi
jaur inpage wale text ko blank page ke adobe photo shop mein move tool pe click karen aur right side bar mein Arrow aap ko nazar aayega.

ab os inpage wale blank page ko abode photo shop wali open ki gayi picture pe drag karo matlab kheencho phir wo text blank page wala move ho jayega os picture pe agar wahan window pe text big hai to os ko aap small kar sakte hain. Go Edit menu and Transform now click on Scale
os ke baad text ke around select ka symbol nazar aayega aap ko phir aap jis side se chahen small kar sakte hain.

os ke baad aap phir se Move Tool Apply ko click karen, ab es picture ko JPEG ki format mein save karne ke liye aap File Menu mein jayen phir Save for web & devices mein jao aur aap picture ki size increase and decrease bhi kar sakte hain. PNG file mein bhi save kar sakte hain. phir aap pk kar den ab aap ki picture tayar hai.

1 comments:

chzafar143 said...

Thank you

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Bluehost Coupons